AMAL FAHRUKH
SWEET BUT GENTLE
Aankhon mei sapne liye qaamyabi tak safar chhoti si umar , masumiyat bhari
Kab kaha kaise us sar phire se mohabbat hui, or kab woh humara hua
Ab toh yaqeen nhi aata, hum sach mei muqammal hai
Jab saath ho tum toh dar nhi lagta, magar phir bhi fikr rehti hai kahi tum hi na chin jao
SHERYAAR UBAIDI
AMMA KA Ladla
Kabhi kisi chiz ki kami nhi,
Lekin dusro ki kami puri karni hai zaroori
Jawani mei josh toh bahot hai
Par khuda jaanta hai kabhi galat kaam kiye nhi
Uske ishq mei ghayal hu
Sotey jaagtey bas uska hu
Mere hotey meri mohabbat kabhi dar nhi sakti tumhare aansoo honge toh lekin aankhe meri hongi
Kab tak yu dur raho gi kahi fana na ho jau abhi
Amal or sheryaar ki ishq ki kahani suniye unki zubani
Kahi koi nazar na lag jae, ya phir inteqaam hoga koi....... Kisi ke kehne se ehsaas khatam nhi hotey meri jaan waqt ke saath badhtey hi jaatey hai badhtey hi jaatey
Dono ki kahani toh abhi shuru hi hui hai itna kya mayus hona
Write a comment ...